kailash Pandey
Amazon.in27 Mar 2026
Very bad product waste of money 😡😡😡😡😡😡😡😡😡😡
Ek bhi achha nhii hai waste of money,ye na to crispy hota,aur ekdum itna mulayam banta hai jaise ki normal bread ki tarah hi,aur jaldi dono side jal bhi jaata hai,suru-2 me to jab maine ise on kiya to aisa lag rha tha jaise jala hua product bhej diya ho,phir bhi maine socha use karke dekhti hu,mujhe to dar lag rhi thi ise band karne me bhi,itni jalne ki bad smell aa rhi thi ki off karne ke baad bhi bad smell aa rhi thi..isme to return ka option bhi nhii hai mujhe laga price jyada hai to maybe achha hoga manga leti hu..but bahut hi ghatiya product nikla ho sake to aap ise return kar lijiye mere kisi kaam ka nhii hai ye..mai kitni baar replace karti rahungi har baar agar aisa hi ghatiya product aaya to kya mai yahi karti rahungi aisa lag rha hai jaise ki kisi ka use Kiya saman bhej diya ho..mera to vishwas hi uth gaya online shopping se jab price jyada hai to replace ka option kyo hai return ka option kyo hai customer ko lalch dekar unhe fasakar unke paise waste karna..mera to amazon se vishwas hi uth gaya ki amazon wale itna ghatiya product sale karte product ki value itni jayada aur kisi kaam ka bhi nhii.. mai to kya karu mere to in logo ne paise hi Barbad karwa diye iss product par ye return ka option bhi nhii hai,mujhe laga achha hoga isiliye manga liya tha...😡😡😡😡 customer ko bewakoof banate hai aap log,apne products pe vishwash nhii tha isliye to return ka option bhi nhii diya,sirf replace ka hi option diya hai.. product ki value itni jaya aur product ekdum ghatiya..lagta hai amazon walon ko bhi apne products par vishwash hi nahi hai to customer kaha se vishwash karenge jaldi inpar itni mahangi-2 cheezen kharido fir waste of money aur return ka option bhi nhii pahle aap log online shopping ka logo ko addiction laga do ki wo ghar se bahar hi naa ja paye ghar par hi sabhi cheezen manga le, value price bhi high kardo dheere -2 jab customer us cheez ka aadi ho jaaye to product ki value price bhi badha do ki ab to customer ghar se baahar nikal hi nhii sakta, kyoki wo to online shopping ka diwana ho gaya hai,ab to wo ghar se baahar bhi nhii nikal sakta,logo ke jazbaaton ke saath aap log mat kheliya pahle apna aap log vishwash kamate hai, phir usi vishwash ko aap log into speed me bhulte hai jaise ki hamne kab bola aisa,hame laga online shopping se achhi cheezen milti hai,but yaha to logon ko bewakoof banane ka kaam kiya jaata hai..in logo ko kisi ke imotion se koi matlab nhii hota....😡😡😡😡😡😡😡😡😡😡😡😡😡 Read more Read less














